Namaste mere pyaare behno aur bhaiyo, kaise ho? Main Fujifilm instax ke ads dekh raha tha diwali time ke aas paas, ye ads fake nostalgia ka target bana rahe hain Gen Z ko, jinke paas hain money to burn, literally like Diwali! Polaroid photo ki carbon copy maano ya fir naye zamaane ka shoshabaazi, mujhe lagtaa hai jaldi hi Adwitya bhi maangegi!
Purane zamaane me log actors aur genuine celebrities ko fan mail bhejte the to unko us celebrity ki PR team signed photos wapas bhejte the, proper snail mail India post se. Humaare bachpan me to bhai hum Archie’s se Terminator Arnold Schwarzenegger ke poster khareed ke deewar pe chipka ke khush the bhai, bus itna sa khwaab hai ki hume bhi thodi si to lift kara de, aise waiso ko diya hai, old school stuff stays in your brain long time! just like tum to thehre pardesi saath kya nibhaoge subah pehli gaadi se ghar ko laut jaoge and mujhe mil jaaye jo thoda paisa by AGOSH.
https://youtu.be/nJcnjElfW-I
Aapko pata hai, is gaane ke music video me jo unlucky lekhak sapne dekh raha hai chhappad faad ke paise ke, wo aajkal Maharani 4 me gul khila rahe hain, unka naam hai Atul Kumar aur kaam hai nautanki! Bhai naatak hum sab karte hain, lekin agar professionally karne ko mile to mere liye usse badh kar koi cheez nahi hogi, har har mahadev!
Isi baat pe aur aapko batata hu - mujhe Magahi, Bhojpuri, Maithili, matlab apni native languages me bhi naatak karne ka poora mann hai, lekin kya karein, zindagi aage badhti jaati hai, aur sapne adhoore reh jaate hai. Lekin koi baat nahi - Adwitya ko main poori koshish karunga ki wo humaari native languages seekhe, along with English and Hindi! After all, just because our generation did not have proper opportunities in our native land, why should future generations remain disconnected from our ancestral roots? While I live, I shall endeavor to expand our Bihari values via dissemination of information and encouragement of practical scientific applications. Mujhe mann hai apne gaon me astronomy club shuru karne kaa, aur Adwitya ke liye ek solid Bihari base banaane kaa. I keep living with positive hopes for the future as per my personal philosophy of 6hourism. Try karenge, baaki Bholay pe vishvaas rakhenge! :)
Comments